Daag Dehlvi Poetry in Urdu Pdf
Daag Dehlvi
Ranjish.com has lots of Urdu Daag Dehlvi Poetry. Feel free to add your own Daag Dehlvi Shayari here.
Daag Dehlvi Collection
Daag Dehlvi 1831-1905 |
Daagh Dehlvi was an Indian Urdu poet who wrote most of his poetry on Love and Romance. His real name was Nawab Mirza Khan but decided to use "Daagh" as his pen name (takhallus).
His bibliography include ;
- Masnavi Fariyad-e-Daagh
- Yaadgar-e-Daagh
- Gulzar-e-Daagh
- Mahtab-e-Daagh
- Aftab-e-Daagh
Daag's ghazals have been sung by several popular singers in India and Pakistan. He started writing poetry from his early childhood and most of his early work was ghazal form of poetry. Daagh has several disciples including the famous urdu poets Seemab Akbarabadi, Allama Iqbal and Jigar Moradabadi.
Ranjish.com is the best place to Daag Dehlvi Poetry.
- Page 1 of 3
- 1
- 2
- 3
- >
Sab log jidhar woh hain udhar dekh rahe hain..
Daag Dehlvi
Sab log jidhar woh hain udhar dekh rahe hain,
Hum dekhne walon ki nazar dekh rahe hain..
Is nahin ka koi ilaaj nahin..
Daag Dehlvi
Is nahin ka koi ilaaj nahin,
Roz kehte hain aap aaj nahin..
Khatir se ya lehaz se main maan to geya..
Daag Dehlvi
Khatir se ya lehaz se main maan to geya,
Jhooti qasam se aap ka iman to geya,
Dil le ke muft kehte hain kuch kaam ka nahin,
Ulti shikayeten huin ehsaan to geya,
Darta hoon dekh kar dil-e-be-arzu ko main,
Sunsan ghar yeh kyun na ho mehman to geya,
Kya aye rahat aayi jo kunj-e-mazaar main,
Woh valvala woh shauq woh armaan to geya,
Dekha hai but-kade main jo ae shaikh kuch na puch,
Iman ki to yeh hai ke iman to geya,
Ifsha-e-raaz-e-ishq main go zillaten huin,
Lekin usay jata to diya jaan to geya,
Go nama-bar se khush na hua par hazar shukr,
Mujh ko woh mere naam se pehchan to geya,
Bazm-e-aduu main surat-e-parwana dil mera,
Go rashk se jala tere qurban to geya,
Hosh-o-havaas o taab o tavaan daagh ja chuke,
Ab hum bhi jaane wale hain samaan to geya..
Nahin khail ae daag yaaron se keh do..
Daag Dehlvi
Nahin khail ae daag yaaron se keh do,
Ke aati hai urdu zabaan atay atay..
Saaqiya tishnagi ki taab nahin..
Daag Dehlvi
Saaqiya tishnagi ki taab nahin,
Zeher de de agar sharaab nahin..
Sabaq aesa parrhaa diya tu ne..
Daag Dehlvi
Sabaq aesa parrhaa diya tu ne,
Dil se sab kuch bhula diya tu ne..
Un ki farmayesh nayi din raat hai..
Daag Dehlvi
Un ki farmayesh nayi din raat hai,
Aur thori si meri auqaat hai..
Ghazab kiya tere vaade pe aitbaar kiya..
Daag Dehlvi
Ghazab kiya tere vaade pe aitbaar kiya,
Tamaam raat qayamat ka intezaar kiya,
Kisi tarah jo na us buut ne aitbaar kiya,
Meri wafa ne mujhe khoob sharamsaar kiya,
Hansaa-hansaa ke shabb-e-vassl ashk–baar kiya,
Tasalliyan mujhe de de ke beqaraar kiya,
Yeh kis ne jalva hamare sar-e-mazaar kiya,
Ke dil se shor utha haaye beqaraar kiya,
Suna hai tegh ko qatil ne aabdaar kiya,
Agar yeh sach hai to be-shubaah hum pe vaar kiya,
Na aaye raah pe woh ijz beshumaar kiya,
Shabb-e-vassl bhi maine to intezaar kiya,
Tujhe to vaaada-e-dedaaar hum se karna tha,
Yeh kya kiya ke jahan ko umeedvaar kiya,
Yeh dil ko taab kahan hai ke ho maal-andesh,
Unhon ne vaada kiya is ne aitbaar kiya,
Kahan ka sabr ke damm par hai bad gayi zaalim,
Ba tang aaye to hal-e-dill ashkaar kiya,
Tarap phir ay dill-e-nadaan ke ghair kehte hain,
Aakhir kuch na bani sabr ikhtiyaar kiya,
Mile jo yaar ki shokhi se us ki bechaini,
Tamaam raat dill-e-muztarib ko pyaar kiya,
Bhula-bhula ke jataya hai un ko raz-e-nihaan,
Chupaa-chupaa ke mohabbat ko aashkaar kiya,
Na us ke dil se mitaaya ke saaf ho jata,
Saba ne khaak pareshaan mera ghubaar kiya,
Hum aese mehvvv-e-nazaara na they jo hosh ata,
Magar tumhare taghaaful ne hoshyaar kiya,
Hamare seenay main jo reh gayi thi aatish-e-hijar,
Shabb-e-visaaal bhi us ko na hum-kanaar kiya,
Raqeeeb-o-sheva-e-ulffat khuda ki qudrat hai,
Woh aur ishq bhalaaa tum ne aitbaar kiya,
Zaban-e-khar se nikli sadaaaa-e-bismillah,
Junoon ko jab sare-shorida par savaar kiya,
Teri nigaah ke tasawur main hum ne aey qatil,
Laga laga ke gale se chhuri ko pyaar kiya,
Ghazab ki kasssrat-e-mehhfil ke main ne dhoke main,
Hazaar baar raqeebon ko hum-kanaar kiya,
Hua hai koi magar us ka chahne wala,
Ke aasman ne tera sheva ikhtiyaar kiya,
Na pooch dil ki haqeeqat magar yeh kehte hain,
Woh beqaraar rahe jis ne beqaraar kiya,
Jab un ki tarz-e-sitam aa gayi to hosh aya,
Bura ho dil ka bure waqt hoshyaar kiya,
Fasaaana-e-shabb-e-ghamm un ko ik kahani thi,
Kuch aitbaar kiya kuch na aitbaar kiya,
Aseeri dill-e-ashufta rang la ke rahi,
Tamaam turra-e-tarrar taar-taar kiya,
Kisi ke ishq-e-nihaan main yeh badgumaani thi,
Ke darte–darte khuda par bhi aashkaar kiya,
Falak se taur qayamat ke ban na parrte they,
Aakhir ab tujhe ashobb-e-rozgaaar kiya,
Woh baat kar jo kabhi aasman se ho na sake,
Sitam kiya to barra tu ne iftikhar kiya,
Bane ga meher-e-qayaaamat bhi aik khal-e-siyah,
Jo chehra 'daagh-e-siyaahru' ne aashkaar kiya..
Aese aaney se to behtar tha naa aana tera….
Daag Dehlvi
Le chala jaan meri rooth ke jaana tera,
Aese aaney se to behtar tha naa aana tera..
Baat meri kabhi suni hi nahin..
Daag Dehlvi
Baat meri kabhi suni hi nahin,
Jaante woh buri bhalli hi nahin,
Dillagi un ki dillagi hi nahin,
Ranj bhi hai faqat hansi hi nahin,
Lutf-e-mai tujh se kya kahun zahid,
Haaye kambakht tu ne pee hi nahin,
Urr gayi yuun wafaa zamaane se,
Kabhi goya kisi main thi hi nahin,
Jaan kya duu ke jaanta hoon main,
Tum ne yeh cheez le ke dii hi nahin,
Hum to dushman ko dost kar lete,
Pr karen kya teri khushi hi nahin,
Hum teri aarzuu pe jeete hain.
Yeh nahin hai to zindagi hi nahin,
Daag kyun tum ko bewafa kehta,
Woh shikayat ka aadmi hi nahin..
- Page 1 of 3
- 1
- 2
- 3
- >
We update our poetry database on daily basis so keep coming back for more Daag Dehlvi.
Daag Dehlvi Poetry in Urdu Pdf
Source: https://www.ranjish.com/shayari/urdu-poets/daag-dehlvi
0 Response to "Daag Dehlvi Poetry in Urdu Pdf"
Post a Comment